husn ka dekh har taraf gulzar
andaliban hue hain dil-afgar
ishq ki mai suun jo hua sarmast
dil hua us ka ḳhana-e-ḳhummar
yaar aaya hai jab mualij ho
dard-e-furqat men nahin raha bimar
aap ashiq hai husn par apne
hai mire jaan ka ajab asrar
kahin ashiq kahin hua dilbar
kahin ma.ashuq kiin hua dildar
kiin hua shams kiin hua hai qamar
kiin hua nuur kiin hua hai naar
kiin hua arz kiin hua hai falak
kiin hua bahar kiin hua ashjar
kiin hua ins kiin hua hai malak
kiin hua diid kiin hua didar
kiin payambar kahin hua hai vali
kiin hua shaiḳh kiin hua zunnar
kiin hai qaazi kahin hua mufti
kiin hua mast kiin hua abrar
kiin hua jaan kiin hua janan
sab men hai aur kahin sabhon se paar
haq men haq ho sada anal-haq bol
dekh mansur kyuun chaḌha hai daar
ik-pana zaat ka ‘alimullah’
shar.a bin ghair kuchh na kar takrar
Leave a Reply