• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Maqdur Kya Mujhe Ki Kahun Wan Ki Yan Rahe

Maqdur Kya Mujhe Ki Kahun Wan Ki Yan Rahe

poet

maqdur kya mujhe ki kahun vaan ki yaan rahe

hain chashm-o-dil ghar us ke jahan chahe vaan rahe

misl-e-nigah ghar se na bahar rakha qadam

phir aa.e har taraf ye jahan ke tahan rahe

ne but-kada se kaam na matlab haram se tha

mahv-e-ḳhayal-e-yar rahe ham jahan rahe

jis ke ki ho naqab se bahar shua-e-husn

vo ru-e-aftab ḳhajil kab nihan rahe

aa.e to ho pa dil ko tasalli ho tab mire

itna kaho ki aaj na javenge haan rahe

hasti hi men hai sair-e-adam us ko yaan jise

fikr-e-miyan-e-yar o ḳhayal-e-dahan rahe

ghibat hi men hai us ki hamara zuhur yaan

vo jalva-gar jab aage hua ham kahan rahe

‘bedar’ zulf khinche idhar chashm-e-yar udhar

hairan hai dil kahan na rahe kis ke haan rahe

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Main Sunaun Kise Hayat Ka Dukh

poet

Hosh O Khirad Ganwa Ke Tere Intizar Mein

Main Sach Ko Chhupane Ka Hunar Sikh Raha Hun

Ye KHwab Aur Bhi Dekhenge Raat Baqi Hai

Aalam Se Fuzun Tera Aalam Nazar Aata Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet