yuun lagta hai jaise ham dariya ke ruḳh par rahte hain
us ki andhi lahron ke qatil dhare par bahte hain
sadiyon ki tariḳh yahan qirtas-e-hava par likkhi hai
qarnon ke afsane ham se koh-o-bayaban kahte hain
vaqt se pahle bachchon ne chehron pe buḌhapa oḌh liya
titli ban kar uḌne vaale soch men Duube rahte hain
jab se andhi zulmat ne suraj par shab-ḳhun maara hai
sab farzane apna apna chehra DhunDte rahte hain
‘farigh’ kaise daur men ye tariḳh hamen le aa.i hai
apne dukh bhi sahte hain tariḳh ke dukh bhi sahte hain
Leave a Reply