miri nigah ko ai kaash ye hunar aa.e
main aankh band karun aur vo nazar aa.e
hamen na pyaas ki shiddat na kuchh thakan ka gila
ai zindagi tire sahra se ham guzar aa.e
tumhari talḳh-kalami se ji udaas hua
jo bhar chuke the mire zaḳhm phir ubhar aa.e
sahn men baiTh ke ham phir hansi mazaq karen
ḳhuda kare kabhi mausam vo lauT kar aa.e
bhigo rahi thi kabhi jis ki yaad ki barish
vo dhuup ban ke mire sahn men utar aa.e
Leave a Reply