ai mere dil tu bata tujh ko gavara kya hai
jo tira dard hai so hai bata chara kya hai
apni babat kabhi puchha to bata.enge use
Dubne valon ko tinke ka sahara kya hai
aur bhaTkenge to kuchh aur naya dekhenge
ham to avara parinde hain hamara kya hai
roz ik shaḳhs ki yadon ka janaza Dhoya
umr ke naam pe ham ne bhi guzara kya hai
ek din hanste hue kahne lagi vo mujh se
saare ash.ar to mere hain tumhara kya hai
Leave a Reply