jo bhi yakja hai bikharta nazar aata hai mujhe
jaane yuun hai bhi ki aisa nazar aata hai mujhe
chashm-e-va men to vahi manzar-e-khali hai jo tha
muund luun aankh to kya kya nazar aata hai mujhe
mail-e-arz-e-tamanna hai na hai vaqf-e-malal
ai mire dil tu thaharta nazar aata hai mujhe
pas-e-nazzara koi khvab-e-gurezan hi na ho
dekhne men to tamasha nazar aata hai mujhe
bandh luun rakht-e-safar laut chalun ghar ki taraf
tiri janib se ishara nazar aata hai mujhe
tujhe kyunkar ho ye maalum mire mah-e-tamam
dagh-e-dil kaise sitara nazar aata hai mujhe
kashti-e-jan yahi ik-adh bhanvar aur hai bas
kahin nazdik kinara nazar aata hai mujhe
dekhne dekhne men farq hua karta hai
tumhi batlao ki kaisa nazar aata hai mujhe
Leave a Reply