• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / dida-E-Hairan Ne Tamasha Kiya

dida-E-Hairan Ne Tamasha Kiya

momin-khan-momin

dida-e-hairan ne tamasha kiya

der talak vo mujhe dekha kiya

zabt-e-fughan go ki asar tha kiya

hausla kya kya na kiya kya kiya

aankh na lagne se shab ahbab ne

aankh ke lag jaane ka charcha kiya

mar gae us ke lab-e-jan-bakhsh par

ham ne ilaaj aap hi apna kiya

bujh gai ik aah men sham-e-hayat

mujh ko dam-e-sard ne thanda kiya

ghair ayadat se bura mante

qatl kiya aan ke achchha kiya

un se pari-vash ko na dekhe koi

mujh ko miri sharm ne rusva kiya

zindagi-e-hijr bhi ik maut thi

marg ne kya kar-e-masiha kiya

paan men ye rang kahan aap ne

aap mire khuun ka daava kiya

jaur ka shikva na karun zulm hai

raaz mira sabr ne ifsha kiya

kuchh bhi ban aati nahin kya kijiye

us ke bigadne ne kuchh aisa kiya

jaae thi teri mire dil men so hai

ghair se kyuun shikva-e-beja kiya

rahm falak aur mire haal par

tu ne karam ai sitam-ara kiya

sach hi sahi aap ka paiman vale

marg ne kab vada-e-farda kiya

daava-e-taklif se jallad ne

roz-e-jaza qatl phir apna kiya

marg ne hijran men chhupaya hai munh

lo munh usi parda-nashin ka kiya

dushman-e-‘momin’ hi rahe but sada

mujh se mire naam ne ye kya kiya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

KHafa Humse Wo Be-Sabab Ho Gaya

Hikayat-E-Husn-E-Yar Likhna Hadis-E-Mina-O-Jam Kahna

Pyase honT Kinare Par Ruk Jate Hain

munshi-naubat-rai-nazar-lakhnavi

Khugar-E-Lazzat Hun Main Kis Shokh Ki Tazir Ka

Sufi

Khush-Bakht Hain Aazad Hain Jo Apne Sukhan Mein

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet