• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Geet / Main Jab Bhi Akeli Hoti Hun Tum Chupke Se Aa Jate Ho

Main Jab Bhi Akeli Hoti Hun Tum Chupke Se Aa Jate Ho

sahir-ludhianvi

main jab bhi akeli hoti huun tum chupke se aa jaate ho

aur jhank ke meri ankhon men biite din yaad dilate ho

mastana hava ke jhonkon se har baar vo parde ka hilna

parde ko pakadne ki dhun men do ajnabi hathon ka milna

ankhon men dhuan sa chha jaana sanson men sitare se khulna

raste men tumhara mud mud kar takna vo mujhe jaate jaate

aur mera thithak kar ruk jaana chilman ke qarib aate aate

nazron ka taras kar rah jaana ik aur jhalak paate paate

balon ko sukhane ki khatir kothe pe vo mera aa jaana

aur tum ko muqabil paate hi kuchh sharmana kuchh bal khana

ham-sayon ke dar se katrana ghar valon ke dar se ghabrana

ro ro ke tumhen khat likhti huun aur khud padh kar ro leti huun

halat ke tapte tufan men jazbat ki kashti kheti huun

kaise ho kahan ho kuchh to kaho main tum ko sadaen deti huun

main jab bhi akeli hoti huun tum chupke se aa jaate ho

aur jhank ke meri ankhon men biite din yaad dilate ho

Filed Under: Geet Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Fikr-E-Ahl-E-Hunar Pe baiThi Hai

Payam-E-Yas Na De Ai Nigah-E-Yar Mujhe

Wahshi the Bu-E-Gul Ki Tarah Is Jahan Mein Hum

abrar-ahmad

Zamin Nahin Ye Meri Aasman Nahin Mera

poet

Kya Qayamat Ka Hai Bazar Tere Kuche Mein

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet