• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Aaj Ki Baaten Kal Ke Sapne

Aaj Ki Baaten Kal Ke Sapne

qateel-shifai

jab bhi tanha mujhe paate hain guzarte lamhe

teri tasvir si rahon men bichha jaate hain

main ki rahon men bhatakta hi chala jaata huun

mujh ko khud meri nigahon se chhupa jaate hain

mere bechain khayalon pe ubharne vaali

apne khvabon se na bahla meri tanhai ko

jab tiri saans miri saans men tahlil nahin

kya karengi miri banhen teri angdai ko

jab khayalon men tire jism ko chhu leta huun

zindagi shoala-e-mazi se jhulas jaati hai

jab guzarna huun gham-e-hal ke virane se

mere ehsas ki nagin mujhe das jaati hai

ham-safar tujh ko kahun ya tujhe rahzan samjhun

raah men la ke mujhe chhod diya hai tu ne

ek vo din ki tira pyaar basa tha dil men

ek ye vaqt ki dil tod diya hai tu ne

maazi o haal ki tafriq vo qurbat ye firaq

pyaar gulshan se chala aaya hai zindanon men

be-zari apni sadaqat ko parakhti hi rahi

tal gaya husn zar-o-sim ki mizanon men

ghair se resham-o-kam-khvab ki rahat pa kar

tu mujhe yaad bhi aaegi to kya aaegi

ek mustaqbil-e-zarrin ki tijarat ke liye

tu mohabbat ke taqaddus ko bhi thukraegi

aur main pyaar ki taqdis pe marne vaala

dard ban kar tire ehsas men bas jaunga

vaqt aaega to ikhlas ka badal ban kar

teri jhulsi hui raton pe baras jaunga

Filed Under: Nazm Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

dekh Kar Khush-Rang Us Gul-Pairahan Ke Hath Panw

poet

Tufan Nazar Mein Hai Na Kinara Nazar Mein Hai

Ho Aankh Agar Zinda Guzarti Hai Na Kya Kya

Kuchh Na Puchho Ru-Ba-Ru Ja Kar Kisi Ke Kya Hua

Log Karne Lage Jawab Talab

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet