Pahle Itna to Mera Haal Kabhi Zar Na Tha

pahle itnā to mirā haal kabhī zaar na thā

aah dil-soz na thī naala sharar-bār na thā

kyoñ pashemān kiyā ai dil-e-nādāñ un ko

qissa-e-ḳhūn-e-jigar qābil-e-iz.hār na thā

zikr-e-farhād sahī qissa-e-mansūr sahī

husn kis rang meñ rusvā sar-e-bāzār na thā

justujū is chaman-ārā kī liye phirtī thī

varna gulshan se mujhe koī sarokār na thā

dil kī duniyā thī ik ummīd pe qaa.em varna

jaan denā shab-e-furqat hameñ dushvār na thā

is tarah suntā huuñ ahvāl-e-nasheman goyā

mujh ko gulshan se kabhī koī sarokār na thā

ai ‘rashīd’ ab vo zamāna hameñ yaad aatā hai

jab ġham-e-ishq to kyā koī bhī āzār na thā

Leave a Comment