vo mere haal pe roya bhi muskuraya bhi
ajiib shakhs hai apna bhi hai paraya bhi
ye intizar sahar ka tha ya tumhara tha
diya jalaya bhi main ne diya bujhaya bhi
main chahta huun thahar jaae chashm-e-dariya men
larazta aks tumhara bhi mera saaya bhi
bahut mahin tha parda larazti ankhon ka
mujhe dikhaya bhi tu ne mujhe chhupaya bhi
bayaz bhar bhi gai aur phir bhi saada hai
tumhare naam ko likkha bhi aur mitaya bhi
Leave a Reply