• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Mahaul

Mahaul

kaifi-azmi

tabiat jabriya taskin se ghabrai jaati hai

hansun kaise hansi kam-bakht tu murjhai jaati hai

bahut chamka raha huun khal-o-khat ko sai-e-rangin se

magar pazhmurdagi si khal-o-khat par chhai jaati hai

umidon ki tajalli khuub barsi shisha-e-dil par

magar jo gard thi tah men vo ab tak paai jaati hai

javani chhedti hai laakh khvabida tamanna ko

tamanna hai ki us ko niind hi si aai jaati hai

mohabbat ki nigun-sari se dil duuba sa rahta hai

mohabbat dil ki izmehlal se sharmai jaati hai

faza ka sog utra aa raha hai zarf-e-hasti men

nigah-e-shauq ruh-e-arzu kajlai jaati hai

ye rang-e-mai nahin saaqi jhalak hai khun-shuda dil ki

jo ik dhundli si surkhi ankhdiyon men paai jaati hai

mire mutrib na de lillah mujh ko davat-e-naghma

kahin saz-e-ghulami par ghazal bhi gaai jaati hai

Filed Under: Nazm Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Is Qadar Gharq Lahu Mein Ye dil-E-Zar Na Tha

poet

Zarurat Se Ziyaada Ji Raha Hai

Masafat Zindagi Aur Hadson Mein Itni Mubham Hai

poet

Hain Tegh-E-Naz-E-Yar Ke Bismil Alag Alag

Yun to Kam Kam Thi Mohabbat Uski

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet