ghar ki divaron ko ham ne aur uncha kar liya
shor-e-sad-e-mahshar suna aur ḳhud ko bahra kar liya
band naafe ki tarah rahte hain apne aap men
apni ḳhushbu se mo.attar dil ka sahra kar liya
dard mahjuri ka a.ina hai apne ru-ba-ru
jab nazar aaya na to apna tamasha kar liya
dar pe har ummid ke phaila diya daman-e-dil
kaj-kulah-e-zindagi ne ḳhud ko rusva kar liya
ham samajhte hain tire malbus ki tauqir ko
dagh-e-uryani nazar aaya to parda kar liya
jab koi surat nazar aa.i na hansne ki ‘nadim’
gham ki har tasvir ko ankhon men yakja kar liya
Leave a Reply