phuul se zaḳhmon ka ambar sambhale hue hain
gham ki punji mire ash.ar sambhale hue hain
ham se puchho na shab-o-roz ka aalam socho
kaise dhaḌkan ki ye raftar sambhale hue hain
ghar bhi bazar ki manind rakhe hain apne
vo jo bazar ka me.ayar sambhale hue hain
ek novel hain kabhi paḌh tu hamen fursat men
tan-e-tanha ka.i kirdar sambhale hue hain
ham mohabbat ke tale kaanp rahe hain aise
jaise darki hui divar sambhale hue hain
zaḳhm le kar ye sabhi apne main jaata bhi kahan
yuun bhi ijlas gunahgar sambhale hue hain
Leave a Reply