• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tasawwur Aap Ka Hai Aur Main Hun

Tasawwur Aap Ka Hai Aur Main Hun

poet

tasavvur aap ka hai aur main huun

yahi ab mashghala hai aur main huun

miri zid se mila phir dushmanon se

bas ab vo bevafa hai aur main huun

vo ho aur main huun aur koi na ho ghair

yahi har-dam dua hai aur main huun

tasavvur men hain pahron un se baten

shikayat ka maza hai aur main huun

tumhari khu hai ranjish har ghadi ki

ye jhagda roz ka hai aur main huun

ilahi vasl hai ya khvab hai ye

husul-e-muddaa hai aur main huun

hazaron gham to dekhe us se mil kar

vahi phir hausla hai aur main huun

sahe kya kya sitam aur ab talak bhi

tamanna hai vafa hai aur main huun

gae vo to jahan jaana tha un ko

ab un ka naqsh-e-pa hai aur main huun

har ik se hal-e-dil kahta huun apna

ye charcha ja-ba-ja hai aur main huun

do aalam ki khushi se kuchh nahin kaam

faqat ik gham tira hai aur main huun

vo hai aur ahd-name hain adu se

nasibon ka likha hai aur main huun

gham-e-duri qayamat hai ki har-dam

ajal ka samna hai aur main huun

khuda ki jannaten hain aur hai khalq

sanam kucha tira hai aur main huun

sahar hote hi jaate hi kisi ke

vahi ah-o-buka hai aur main huun

‘nizam’ us but ke gham men ho tasalli

bas ik zat-e-khuda hai aur main huun

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Mujhe Ai Ham-Nafas Andesha-E-Barq-O-KHizan Kyun Ho

akhtar-ansari

Bahaar Aai Zamana Hua Kharabaati

ainuddin-azim

Panw Phanse Mein Hath Chhudane Aaya Tha

Kuza-Gar Dekh Agar Chaak Pe Aana Hai Mujhe

aziz-bano-darab-wafa

Thakan Se Chur Hun Lekin Rawan-dawan Hun Main

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet