paivand-e-nau zamin ki rida se laga diya
main hissa-e-fana tha fana se mila diya
pal men sameT li hai sadi si tavil raat
phaila ke ek din ko zamana bana diya
us ne mujhe dikha ke miri samt dekh kar
titli ka par hatheli pe rakh kar uḌa diya
har vaqt ik ye dhun hai ki men tajziya karun
mujh ko mire junun-e-tajassus ne kya diya
Leave a Reply