Hijr Ki Shab ghaDi ghaDi Dil Se Yahi Sawal Hai

hijr kī shab ghaḌī ghaḌī dil se yahī savāl hai

jis ke ḳhayāl meñ huuñ gum us ko bhī kuchh ḳhayāl hai

hā.e-rī bebasī shauq-e-dil kā ajiib haal hai

us kā javāb sun chukā phir bhī vahī savāl hai

ḳhvāb-o-fusūñ nahīñ to kyā dil ye junūñ nahīñ to kyā

ḳhalvat-e-dost aur tū terā kahāñ ḳhayāl hai

maiñ tire dar ko chhoḌ duuñ shart-e-vafā ko toḌ duuñ

soñch ḳhud apne dil meñ tū kyā ye mirī majāl hai

sharm sī nazar dil kī hai uThtī nahīñ nigāh-e-shauq

ishq kī manziloñ meñ ik manzil-e-infi.āl hai

chāheñge gar to dil kī baat aap hī jaan leñge vo

muñh se kahūñ to kyā kahūñ shakl mirī savāl hai

baat unhīñ kī maan lī jaise maiñ hī ḳhatā pe thā

un ko kahīñ ye shak na ho dil meñ mire malāl hai

ab tirī justujū huī himmat-e-dil ke hasb-e-zauq

tū ne ye jab se kah diyā ye talab muhāl hai

sat.h-e-mazāq-e-bazm par ‘mullā’ utar ke aanā to

auroñ kā jo kamāl hai tere liye zavāl hai

Leave a Comment