ba.is-e-qurb jafa-kar ka ghussa to hai
dil kashida hi sahi ghuur ke dekha to hai
pau phaTe ya na phaTe ḳhalvat-e-dil men lekin
haan nahin aur nahin haan ka dhundalka to hai
munqata.a kar ke sabhi silk-e-ta.alluq aksar
meri divar-e-ana koi girata to hai
umr ki shaam Dhale paikar-e-zeba us ka
pahle jaisa to nahin dil men vo tanha to hai
ba-vuzu dil pe likhi main ne hai tauba apni
kuchh nahin zad-e-safar hurmat-e-tauba to hai
bujh ga.i aag magar raakh ke malbe ke tale
ik sulagti hui fariyad ka lahra to hai
ye bhi mansuba-e-farda ki na sazish ho ‘shahab’
haal majruh ka talvar ne puchha to hai
Leave a Reply