kaleja rah gaya us vaqt phaT kar
kaha jab alvida us ne palaT kar
tasalli kis tarah deta use main
main ḳhud hi ro paḌa us se lipaT kar
akela rah gaya huun karvan men
kahan tak aa ga.i ta.adad ghaT kar
na koi aks baaqi tha na surat
rakha jo aa.ina main ne ulaT kar
parinda aur uḌna chahta tha
ufuq hi rah gaya ḳhud men simaT kar
na bach pa.enge parbat bandishon ke
mohabbat ki nadi nikli hai kaT kar
Leave a Reply