Zindagi Naqsh-E-Ab Hai Logo

zindagī naqsh-e-āb hai logo

bulbula hai sarāb hai logo

tum jahāñ se bhī chāho paḌh Daalo

merā chehra kitāb hai logo

zāhiran sab sukūñ se rahte haiñ

sab ko hī iztirāb hai logo

ūñche-ūñche makān ḳhālī ghar

sab kā ḳhāna-ḳharāb hai logo

is shahar Duube us shahar nikle

ishrat-e-āftāb hai logo

merī barbādiyāñ hī becho tum

kuchh kamāo savāb hai logo

phir na aanā nizām TūTegā

aa ke jāoge ḳhvāb hai logo

ghar kī dahlīz par jalānā charāġh

daras-e-‘īraj’ kā baab hai logo

Leave a Comment