apni janib tire dil ke sabhi gham khinchte hain
tere apne to baḌha dete hain ham khinchte hain
haa.e ai zindagi ab teri masafat ke azaab
baiTh jaate hain kisi saa.e men dam khinchte hain
vahshat-e-zulmat-o-tanha.i ke lashkar hain udhar
jis taraf mujh ko tire rahm-o-karam khinchte hain
safha-e-hasti-e-fani pe ba-har-surat-e-shauq
jo lakiren nazar aati hain vo ham khinchte hain
mai se tauba bhi hai lazim tiri taqlid bhi farz
kya karun ab jo tire naqsh-e-qadam khinchte hain
ham junun-zad hain jazbat ke qaa.il ‘afaq’
kab tire hijr men zanjir-e-alam khinchte hain
Leave a Reply