Mere Jazbaat Se Ye Raat Pighal Jaegi

mire jazbāt se ye raat pighal jā.egī

jism to jism tirī ruuh bhī jal jā.egī

aaj to husn bhī maa.il hai masīhā.ī par

aaj se ishq kī tārīḳh badal jā.egī

zindagī ret kī mānind mire haath meñ hai

dekhte dekhte hāthoñ se phisal jā.egī

log kahte haiñ hameñ rasm-e-vafā yaad nahīñ

chhoḌiye baat kahīñ duur nikal jā.egī

vahshat-e-ishq kī āñdhī se nahīñ ḳhauf mujhe

ye vo āñdhī hai jo ash.ār meñ Dhal jā.egī

be-qarārī hai to phir kūcha-e-jānāñ meñ chalo

un ke dekhe se tabī.at bhī sañbhal jā.egī

kaun kartā hai raqam apne junūñ kā qissa

kaun kahtā hai ḳhirad is se bahal jā.egī

ġhuncha-e-dard ko āñkhoñ meñ numū dī hai ‘shakīl’

ye kalī ashk bahāne se masal jā.egī

Leave a Comment