• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Jahan-Zadi Ka Status

Jahan-Zadi Ka Status

maimoona-abbas-khan

zamana kitna badal gaya hai

maqam rishton ka mit raha hai

kahin mohabbat ka ruup dhare

kahin sulagte ye nafraton se

kahin pe ankhon men ret ban kar

chubhan ki surat rula rahe hain

kahin ye barqi payam ban kar

hazar milon pe chhai duuri ke badalon ko hata rahe hain

dilon ki dhadkan badha rahe hain

rivayaton ko badal rahe hain

vafa ke dhage jafa se har dam ulajh rahe hain

udaas lamhe khushi-o-hairat ki saari ghadiyan

dilon se bahar nikal ke divar ka navishta

mohabbat azali aziim rishta

jo lakhon pardon men jagmagata tha

ab status pe ishtiha ki khabar ki surat badal raha hai

koi bhi jazba koi bhi rishta

na mustaqil hai na mo’atabar hai

palak jhapakne men badle manzar

ki jaise koi jahan-zadi taalluq apna badal rahi ho

nai koi chaal chal rahi ho

junun ki agli jo manzilen hain

vahan pe tasviren avezan hain

dabi dabi muskurahaten hain

ghuti ghuti sansanahaten hain

junun ehsas aur mohabbat

vaqar apna mita rahi hain

bata rahi hain

zamana kitna badal gaya hai

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

akbar-allahabadi

Jazba-E-dil Ne Mere Tasir dikhlai To Hai

Hamare Dil Mein Ab talKHi Nahin Hai

Wo Jo Mere Pas Se Ho Kar Kisi Ke Ghar Gaya

Wasl Ki Raat Wo Tanha Hoga

Mere to Ghar Mein Rahte Hain Mausam Kamal Ke

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet