aane vaala hai koi mehman kya
ho gae sab marhale asan kya
vaqt ki raftar kaise tham gai
ho gaya hai har-nafas be-jan kya
tutna jadna to hai ik silsila
ho rahe ho is qadar hairan kya
zindagi se rishta apna tod kar
ja rahe ho jab to ye saman kya
dhuup ke saae men chup sadhe hue
kar rahe ho amn ka elaan kya
khvahishon ke sab parinde ud gae
ho gai hai zindagi viran kya
sochta rahta huun ‘adil’ rat-din
main hi kya huun aur miri pahchan kya
Leave a Reply