ye zamin vo asman aisa na tha
is tarah dariya kabhi bahta na tha
zaḳhm bhi itne hare pahle na the
ye chaman gul-rang bhi aisa na tha
sar-barahna surajon ke saath the
yuun ḳhayal-e-yar be-saya na tha
ik sitara dil men raushan tha magar
aankh ne us ko kabhi dekha na tha
is taraf hi dekhta rahta tha main
vo daricha der tak khulta na tha
ek hi sahra ke baasi the sabhi
koi apna koi begana na tha
har taraf tarik thi duniya magar
ik charagh-e-dil tha jo bujhta na tha
Leave a Reply