mota sa ik baaje vaala
chalta chalta jangal aaya
jangal men koyal rahti thi
pinjre men band vo baithi thi
baaje ko dekh ke chahki vo
muddat ke baad hi boli vo
tu baaja baja main gaungi
naghme main achchhe sunaungi
koyal ne yuun gaana gaaya
baaje vaala bhi mast hua
thi paas hi ek chidiya baithi
gaana sun ke vo kahne lagi
koyal-bi tum ko hai aata
kitna achchha gaana gaana
avaz tumhari pyari hai
saari duniya se nyari hai
tum khud hi giit banati ho
tum khud hi achchha gaati ho
tum kyuun is baaje vaale ko
kahti ho saaz bajane ko
phir ek din ye baaje vaala
har ek se ye kahta hoga
main ne hi ja kar sikhlaya
koyal ko bhi gaana gaana
meri maano ik kaam karo
tum raushan apna naam karo
pinjre se nikal bahar aao
tum daali daali khud gaao
ye sun ke koyal bhi hans di
chidiya se phir vo yuun boli
kya koi hunar bhi bin sikhe
aata hai kisi ko chupke se
jab mashq nahin karta koi
mahir nahin ban sakta koi
jis ne kiya apne fan ko yaad
akhir vahi kahlaya ustad
Leave a Reply