ba.ad muddat ke ḳhayal-e-mai-o-mina aaya
zindagi phir mujhe jiine ka qarina aaya
har nafas ziist ke mathe pe pasina aaya
ye bhi jiina hai ki aisa hamen jiina aaya
kitne pahlu nazar aa jaa.en na jaane dil ke
a.ina-saz ke hathon men nagina aaya
phir sar-e-bazm koi jam-ba-kaf aata hai
tark-e-tauba ke tasavvur pe pasina aaya
tohamat-e-bada-parasti ka saza-var hua
tera mai-kash jise do ghunT na piina aaya
chehra-e-vaqt se ulTi na ga.i ham se naqab
kaam apne na kabhi dida-e-bina aaya
tishna-lab rakkha tiri chashm-e-karam ne saaqi
jab mujhe bada-parasti ka qarina aaya
un ki ankhon men chhalak aa.e hain aansu ‘fitrat’
mere daman men umidon ka ḳhazina aaya
Leave a Reply