main miil ka patthar na Dagar dekh raha huun
pairon pe jami gard-e-safar dekh raha huun
tariki nazar aati hai kuchh logon ko lekin
main haml men is shab ke sahar dekh raha huun
ye amn ki dharti hai magar aaj yahan par
takrar ka aalam hai jidhar dekh raha huun
vaqif nahin hamsa.e ke ahval se lekin
T-V pe zamane ki ḳhabar dekh raha huun
uḌne ki havas men na kahin jaan ganva de
chyunTi ke nikal aa.e hain par dekh raha huun
peshani-e-hakim pe shikan aa ga.i ‘anjum’
mahkum ki aahon ka asar dekh raha huun
Leave a Reply