gumbad-e-madfan hai ya hai asman bala-e-sar
ye makin rakhte hain sab apne makan bala-e-sar
yuun liye hon hashr men bar-e-garan bala-e-sar
dosh par khum hai gunah ki gathriyan bala-e-sar
chhoti si kashti bana hai asman bala-e-sar
sail-e-ashk is tarah chashm-e-khun-fishan bala-e-sar
zer-e-masjid mai-kada main mai-kade men mast-e-khvab
chaunk utha jab di moazzin ne azaan bala-e-sar
ham hain soe saya-e-gul men nahin itna khayal
ai anadil is tarah shor-e-fughan bala-e-sar
nakhl-e-gul ki tarah divanon se bhi manus hain
lete hain bulbul jagah ai baghban bala-e-sar
ye nirali teri khilqat shama us par husn bhi
ham ne dekhi ek teri hi zaban bala-e-sar
khush kiya yuun baagh men la kar mujhe sayyad ne
shakh ke niche qafas hai ashiyan bala-e-sar
bechte phirte hain mai ham is tarah raste gali
ja-e-khum chhoti si hai mai ki dukan bala-e-sar
rahm kar malik ki main do do farishte bhi lade
aur phir isyan ka bhi bar-e-garan bala-e-sar
pichhe pichhe karvan ke ham thake-mande hain yuun
paanv men chhale hain gard-e-karvan bala-e-sar
paanv ke niche se nikli jaati hai yarab zamin
kha rahe hain chakkar itne asman bala-e-sar
main vo huun mahshar ke pyason ko pilaun tau sahi
hauz-e-kausar hoga ai pir-e-mughan bala-e-sar
atish-e-rang-e-hina-o-zulf-e-pechan dekhiye
aag talvon men lagi nikla dhuan bala-e-sar
lene jaata hai haram se kya kahin tum ko ‘riyaz’
taaq par rakkhi hai botal mehrban bala-e-sar
Leave a Reply