tira asman navakon ka ḳhazina hayat-afrina hayat-afrina
hamari zamin la.al-o-gul ka dafina hayat-afrina hayat-afrina
hue naam aur nang sab gharq-e-sahba miri mai-gusari ki hogi saza kya
tire naam ka ek jur.a yahi na hayat-afrina hayat-afrina
tire va.ada-e-rizq ki hai duhai agar rizq azuqa-e-ruh bhi hai
to ham to hain mahrum-e-nan-e-shabina hayat-afrina hayat-afrina
na sanson men josh-e-numu ka talatum na marne ke gham men gudaz-e-ta.allum
ye jiina bhi hai koi jiine men jiina hayat-afrina hayat-afrina
zamin ka kaleja bahut phunk raha hai falak phaT paḌe qulzum-e-ḳhun ravan ho
jabin-e-mashiyyat se Tapke pasina hayat-afrina hayat-afrina
mah-o-mehr-o-anjum falak ke dulare tiri mumlikat ke hasin shahzade
hamari zamin kaenati hasina hayat-afrina hayat-afrina
nahin ‘aḳhtar’-e-zar mayus ḳhud se ki zulmat bhi chhaTti hai darja-ba-darja
utarti hai rahmat bhi zina-ba-zina hayat-afrina hayat-afrina
Leave a Reply