ik shagufta gulab jaisa tha
vo baharon ke ḳhvab jaisa tha
paḌh liya ham ne harf harf use
us ka chehra kitab kaisa tha
duur se kuchh tha aur qarib se kuchh
har sahara sarab jaisa tha
ham gharibon ke vaste har roz
ek roz-e-hisab jaisa tha
kis qadar jald uḌ gaya yaaro
vaqt rang-e-shabab jaisa tha
kaise guzri hai umr kya kahiye
lamha lamha azaab jaisa tha
zahr tha zindagi ke saghar men
rang rang-e-sharab jaisa tha
kya zamana tha vo zamana bhi
har gunah jab savab jaisa tha
kaun gardanta use qatil
vo to izzat-ma.ab jaisa tha
be-hijabi ke bavajud bhi kuchh
is ke ruḳh par hijab jaisa tha
jab bhi chheḌa to ik fughan nikli
dil shikasta rabab jaisa tha
is ke ruḳh par nazar Thahar na saki
vo ‘hafiz’ aftab jaisa tha
Leave a Reply