Hijr Ki Aag Mein Azab Mein Na de

hijr ki aag men azaab men na de

misl-e-simab iztirab na de

sandali husn hai tira darkar

dard-e-sar kuun mire gulab na de

bas tira daur-e-chashm ai saaqi

hosh khone mujhe sharab na de

zahid-e-khushk kuun sharab na de

aag de khar-o-khas ko aab na de

apne maron ko mat pareshan kar

zulf-e-mushkin kuun pech-o-tab na de

ashiqon kuun hai lazzat-e-dushnam

har kamine kuun ye khitab na de

kis ne ai bahr-e-husn tujh kuun kaha

ki kisi tishna-lab kuun aab na de

kaam jahil ka hai sukhan-chini

ai ‘siraj’ us kuun tu javab na de

Leave a Comment