amn-o-sulh-o-ashti ho jaise bimari ka naam
hai siyasat ahd-e-nau men ek ayyari ka naam
in ka zahir aur batin dekh kar aisa laga
parsai jaise ho shayad riya-kari ka naam
jo zamana saaz hain, hain sab ke manzur-e-nazar
hai taghazzul men tarannum aaj fankari ka naam
gardish-e-halat se hai band jin ka natiqa
vo zaban-e-hal se lete hain bekari ka naam
hai girani ka vo aalam al-aman o al-hafiz
darte hain lete hue ab sab kharidari ka naam
shokhi-e-guftar men kah jaate hain vo kuchh se kuchh
dosti in ki nazar men hai dil-azari ka naam
pur-masarrat zindagi hai aaj kal khvab-o-khayal
hai zaban par in dinon sab ki aza-dari ka naam
kya kushud-e-kar ki ‘barqi’ koi surat nahin
sab ke hai vird-e-zaban ab sirf dushvari ka naam
Leave a Reply