mire liye to ye saneha bhi naya nahin tha
masafat-e-jan ka ham-safar bhi mira nahin tha
labon pe pahunche to nim-jan the huruf saare
sama.aton ka koi daricha khula nahin tha
na mil saki us ko raushni ki koi basharat
ki tirgi ka azaab us ne saha nahin tha
nigah-e-gulshan men jo khaTakta tha ḳhaar ban ke
gale laga kar use jo dekha bura nahin tha
vo sahab-e-iḳhtiyar-o-masnad vo mera munsif
vo hakim-e-mutlaq-ul-anan tha ḳhuda nahin tha
harim-e-jan men mahak raha hai vo harf-e-ḳhushbu
ki jo abhi shaḳhsar-e-lab par khila nahin tha
Leave a Reply