phir dil ne kaha pyaar kiya jaa.e kisi ko
jaise bhi ho hamvar kiya jaa.e kisi ko
yuun yaad lagatar kiya jaa.e kisi ko
amada-e-iz.har kiya jaa.e kisi ko
kam-hausla hai koi mohabbat men to phir kyuun
be-kar giran-bar kiya jaa.e kisi ko
ma.ashuq ki marzi men hi ashiq ki raza hai
mash.hur ḳhata-var kiya jaa.e kisi ko
dil us ka jigar us ka hai jaan us ki ham us ke
kis baat se inkar kiya jaa.e kisi ko
saaqi ki inayat hai to mai-kash ko hai kya uzr
asuda o sarshar kiya jaa.e kisi ko
ik kaif tha saghar men to ham ban ga.e kaifi
sharminda na be-kar kiya jaa.e kisi ko
hai be-kasi be-gunah to phir kyuun mere sarkar
rusva sar-e-darbar kiya jaa.e kisi ko
samjhaya bahut ham ne pe ‘rahbar’ ko ye zid hai
sharminda-e-kirdar kiya jaa.e kisi ko
Leave a Reply