haath se haihat kya jaata raha
marne jiine ka maza jaata raha
zindagi ka aasra jaata raha
haae jiine ka maza jaata raha
le gaya sarmaya-e-sabr-o-qarar
maya-dar ab sabr ka jaata raha
umr bhar ki sab kamai lut gai
ziist ka barg-o-nava jaata raha
dil agar baaqi raha kis kaam ka
chain dil ka ai khuda jaata raha
zindagani ki halavat uth gai
dana-pani ka maza jaata raha
jo sahara tha dam-e-darmandagi
vo budhape ka asa jaata raha
kijiye kis baat ki ab aarzu
aarzu ka muddaa jaata raha
gul hua apna charagh-e-arzu
nuur ghar ka ai khuda jaata raha
haae kaisa lut gaya bagh-e-murad
kya shajar phula-phala jaata raha
roiye kya zindagani ko ‘zahir’
maut ka bhi ab maza jaata raha
Leave a Reply