allah agar taufiq na de insan ke bas ka kaam nahin
faizan-e-mohabbat aam sahi irfan-e-mohabbat aam nahin
ye tu ne kaha kya ai nadan fayyazi-e-qudrat aam nahin
tu fikr o nazar to paida kar kya chiiz hai jo inaam nahin
ya-rab ye maqam-e-ishq hai kya go dida-o-dil nakam nahin
taskin hai aur taskin nahin aram hai aur aram nahin
kyuun mast-e-sharab-e-aish-o-tarab taklif-e-tavajjoh farmaen
avaz-e-shikast-e-dil hi to hai avaz-e-shikast-e-jam nahin
aana hai jo bazm-e-janan men pindar-e-khudi ko tod ke aa
ai hosh-o-khirad ke divane yaan hosh-o-khirad ka kaam nahin
zahid ne kuchh is andaz se pi saaqi ki nigahen padne lagin
mai-kash yahi ab tak samjhe the shaista daur-e-jam nahin
ishq aur gavara khud kar le be-shart shikast-e-fash apni
dil ki bhi kuchh un ke sazish hai tanha ye nazar ka kaam nahin
sab jis ko asiri kahte hain vo to hai amiri hi lekin
vo kaun si azadi hai yahan jo aap khud apna daam nahin
Leave a Reply