bhigi bhigi palkon par ye jo ik sitara hai
chahaton ke mausam ka aḳhiri shumara hai
amn ke parindon ki sarhaden nahin hotin
ham jahan Thahar jaa.en vo vatan hamara hai
shaam dastaken degi tab samajh men aa.ega
zindagi talatum hai maut ik sahara hai
kya ajab paheli hai zindagi ka mela bhi
pahle ḳhud ko DhunDa hai phir tujhe pukara hai
aarzu hai suraj ko aa.ina dikhane ki
raushni ki sohbat men ek din guzara hai
Leave a Reply