• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Un Ke Ek Jaan-Nisar Hum Bhi Hain

Un Ke Ek Jaan-Nisar Hum Bhi Hain

un ke ik jan-nisar ham bhi hain

hain jahan sau hazar ham bhi hain

tum bhi bechain ham bhi hain bechain

tum bhi ho be-qarar ham bhi hain

ai falak kah to kya irada hai

aish ke ḳhvast-gar ham bhi hain

khinch la.ega jazb-e-dil un ko

hama tan intizar ham bhi hain

bazm-e-dushman men le chala hai dil

kaise be-iḳhtiyar ham bhi hain

shahr ḳhali kiye dukan kaisi

ek hi bada-ḳhvar ham bhi hain

sharm samjhe tire taghaful ko

vaah kya hoshiyar ham bhi hain

haath ham se milao ai muusa

ashiq-e-ru-e-yar ham bhi hain

ḳhvahish-e-bada-e-tuhur nahin

kaise parhez-gar ham bhi hain

tum agar apni guun ke ho ma.ashuq

apne matlab ke yaar ham bhi hain

jis ne chaha phansa liya ham ko

dilbaron ke shikar ham bhi hain

aa.i mai-ḳhane se ye kis ki sada

laao yaron ke yaar ham bhi hain

le hi to legi dil nigah tiri

har tarah hoshiyar ham bhi hain

idhar aa kar bhi fatiha paḌh lo

aaj zer-e-mazar ham bhi hain

ghair ka haal puchhiye ham se

us ke jalse ke yaar ham bhi hain

kaun sa dil hai jis men ‘dagh’ nahin

ishq men yadgar ham bhi hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ye Sahra Mera Hai Jhelam Chanab Uski Taraf

Use Betab Ho Kar Sochti Hun

ambarin-salahuddin

Jo Rahi So Be-Khabari Rahi

Main Apni Bebasi Mahsus Kar Ke Ro Raha Hunga

poet

Kyun Ho Na Gir Ke Kasa-E-Tadbir Pash Pash

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet