ghar lauTte hain jab bhi koi yaar ganva kar
ro lete hain ham-zad ko siine se laga kar
kis ko thi ḳhabar is men taḌaḳh ja.ega dil bhi
ham ḳhush the bahut sehn men divar uTha kar
kuchh aur bhi baḌh jaati hain hairaniyan dil ki
sau baar kaha hai ki na a.ina taka kar
savan men to ḳhud-sozi bhi ho jaati hai nakam
rela sa guzar jaata hai sab azm bujha kar
main tark-e-ta.alluq pe bhi amada huun lekin
tu bhi to mira qarz-e-gham-e-hijr ada kar
ye tai hai ki ab ham ne nahin milna dobara
ye baat magar aur kisi se na kaha kar
is kar-e-mohabbat men to hota hai ḳhasara
ai sahab-e-zar tu ye tijarat na kya kar
ik shahad sa ghulta chala jaata hai dahan men
leta huun main jab saans tiri saans mila kar
Leave a Reply