main ḳhud huun naqd magar sau udhar sar par hai
ajab vabal-e-gham-e-rozgar sar par hai
guman hai sab ko ki huun asman uTha.e hue
safar safar vo qadam ka ghubar sar par hai
hava-e-jan ka taqaza ki rahiye ghar se duur
ki hain jo ghar men bayaban hazar sar par hai
subuk na samjho mujhe pusht TuuT ja.egi
main ek pal sahi sadiyon ka baar sar par hai
zamin ke zimme hai jo qarz kyuun chuka.un main
zamana kis liye aḳhir savar sar par hai
hazar ghaTe ka sauda ho ye faqiri-e-harf
yahi bahut hai kulah-e-vaqar sar par hai
‘faza’ na tha kabhi taaza dimagh itna main
hai us ka haath ki shaḳh-e-bahar sar par hai
Leave a Reply