• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Agar Na Zohra-Jabinon Ke darmiyan Guzre

Agar Na Zohra-Jabinon Ke darmiyan Guzre

jigar-moradabadi

agar na zohra-jabinon ke darmiyan guzre

to phir ye kaise kate zindagi kahan guzre

jo tere aariz o gesu ke darmiyan guzre

kabhi kabhi vahi lamhe bala-e-jan guzre

mujhe ye vahm raha muddaton ki jurat-e-shauq

kahin na khatir-e-masum par giran guzre

har ik maqam-e-mohabbat bahut hi dilkash tha

magar ham ahl-e-mohabbat kashan kashan guzre

junun ke sakht marahil bhi teri yaad ke saath

hasin hasin nazar aae javan javan guzre

miri nazar se tiri justuju ke sadqe men

ye ik jahan hi nahin sainkadon jahan guzre

hujum-e-jalva men parvaz-e-shauq kya kahna

ki jaise ruuh sitaron ke darmiyan guzre

khata-muaf zamane se bad-guman ho kar

tiri vafa pe bhi kya kya hamen guman guzre

mujhe tha shikva-e-hijran ki ye hua mahsus

mire qarib se ho kar vo na-gahan guzre

rah-e-vafa men ik aisa maqam bhi aaya

ki ham khud apni taraf se bhi bad-guman guzre

khulus jis men ho shamil vo daur-e-ishq-o-havas

na raegan kabhi guzra na raegan guzre

usi ko kahte hain jannat usi ko dozakh bhi

vo zindagi jo hasinon ke darmiyan guzre

bahut hasin manazir bhi husn-e-fitrat ke

na jaane aaj tabiat pe kyuun giran guzre

vo jin ke saae se bhi bijliyan larazti thiin

miri nazar se kuchh aise bhi ashiyan guzre

mira to farz chaman-bandi-e-jahan hai faqat

miri bala se bahar aae ya khizan guzre

kahan ka husn ki khud ishq ko khabar na hui

rah-e-talab men kuchh aise bhi imtihan guzre

bhari bahar men taraji-e-chaman mat puchh

khuda kare na phir ankhon se vo saman guzre

koi na dekh saka jin ko vo dilon ke siva

muamlat kuchh aise bhi darmiyan guzre

kabhi kabhi to isi ek musht-e-khak ke gird

tavaf karte hue haft asman guzre

bahut hasin sahi sohbaten gulon ki magar

vo zindagi hai jo kanton ke darmiyan guzre

abhi se tujh ko bahut nagavar hain hamdam

vo hadsat jo ab tak ravan-davan guzre

jinhen ki dida-e-shair hi dekh sakta hai

vo inqilab tire samne kahan guzre

bahut aziiz hai mujh ko unhen kya yaad ‘jigar’

vo hadsat-e-mohabbat jo na-gahan guzre

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Jaane Kaise Log the Yaad Aae Kam Jaane Ke Baad

Ek Be-Sabaat Aks Bana Be-Nishan Gaya

shakeel-badayuni

Ek Ik Qadam Fareb-E-Tamanna Se Bach Ke Chal

Ye honT Tere Resham Aaise

KHair Ka Tujhko Yaqin Hai Aur Usko Shar Ka Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet