main chahta huun ki dil men tira ḳhayal na ho
ajab nahin ki miri zindagi vabal na ho
main chahta huun tu yak-dam hi chhoḌ jaa.e mujhe
ye har ghaḌi tire jaane ka ehtimal na ho
main chahta huun mohabbat pe ab ki baar aa.e
zaval aisa ki jis ko kabhi zaval na ho
main chahta huun mohabbat sire se miT jaa.e
main chahta huun use sochna muhal na ho
main chahta huun mohabbat mujhe fana kar de
fana bhi aisa ki jis ki koi misal na ho
main chahta huun mohabbat mira vo haal kare
ki ḳhvab men bhi dobara kabhi majal na ho
main chahta huun ki itna hi rabt rah jaa.e
vo yaad aa.e magar bhulna muhal na ho
main chahta huun miri ankhen noch li jaa.en
tira ḳhayal kisi taur pa.emal na ho
main chahta huun ki main zaḳhm zaḳhm ho ja.un
aur is tarah ki kabhi ḳhauf-e-indimal na ho
miri misal ho sab ki nigah men ‘javvad’
main chahta huun kisi aur ka ye haal na ho
Leave a Reply