karta hai bagh-e-dahr men nairangiyan basant
aaya hai laakh rang se ai baghban basant
ham-rang ki hai duun nikal ashrafi ke saath
paata hai aa ke rang-e-talai yahan basant
joban par in dinon hai bahar-e-nashat-e-bagh
leta hai phuul bhar ke yahan jholiyan basant
mubaf zard rang hai sumbul ki chot men
khota hai bu-e-gul ki pareshaniyan basant
navvab-e-nam-dar ‘zafar-jang’ ke huzur
gaati hai aa ke zohra-e-gardun-makan basant
jam-e-aqiq zard hai nargis ke haath men
taqsim kar raha hai mai-e-arghavan basant
hote hain tairan-e-chaman nargisi kabab
kah do ki is qadar na kare garmiyan basant
chehre tamam zard hain daulat ke rang se
kothi men ho gaya hai sarapa ayaan basant
niila hua hai munh gul-e-sausan ka baagh men
leta hai ikhtilat men kya chutkiyan basant
kadve dhare hue hain jo navvab ke huzur
bahar hai apne jaame se ai baghban basant
pukhraj ke gilason men hai lala-gun sharab
sone ka paani pi ke hai ratab-ul-lisan basant
sarson jo phuli dida-e-jam-e-sharab men
bint-ul-anab se karne laga shokhiyan basant
zer-e-qadam hai farsh-e-basanti huzur ke
masruf pa-e-boss men hai har zaman basant
main gard-posh ho ke bana shakh-e-zaafaran
lipta hua hai mere badan se yahan basant
karta huun ab tamam dua par ye chand sher
aaya pasand majmaa-e-ahl-e-zaman basant
jab tak ki mahv-e-qahqaha huun gul hazar men
rangin taar hai sifat-e-zaafaran basant
yarab hazar saal salamat rahen huzur
ho roz jashn-e-id yahan javedan basant
ahbab surkh-ru rahen dushman hon zard-ru
jab tak manaen mardum-e-hindostan basant
zardi ki tarah baiza-e-bulbul men chhup rahe
is baagh se na jaae miyan-e-khizan basant
taqdir men thi furqat-e-yaran-e-lucknow
is shahr men ‘munir’ kahan tha kahan basant
Leave a Reply