na jaan bazon ka majmaa tha na mushtaqon ka mela tha
khuda jaane kahan marta tha main jab tu akela tha
gharaunda yuun khada to kar liya hai arzuon ka
tamasha hai jo vo kah den ki main ik khel khela tha
bahut saste chhute ai maut bazar-e-mohabbat men
ye sauda vo hai jis men kya kahen kya kya jhamela tha
agar taqdir men hota to ik din paar bhi lagta
ye dariya jhelne ko yuun to ai dil khuub jhela tha
hamesha hasrat-e-didar par dil ne qanaat ki
bade dar ka mujavir tha bade murshid ka chela tha
kahan dil aur fusun-e-ishq ki ghaten kahan yarab
na padna tha balaon men abhi kam-bakht anela tha
jahan chahe lage jis dil ko chahe chuur kar daale
zaban se phek maara baat thi naseh ki dhela tha
tamasha-gah-e-duniya men bataun kya umidon ki
tan-e-tanha tha main ai ‘shad’ aur railon pe rela tha
Leave a Reply