ḳhvab kya tha jo mire sar men raha
raat bhar ik shor sa ghar men raha
ik kiran mehrab se lipTi rahi
ek saaya adh-khule dar men raha
TuTti banti rahin parchha.iyan
ḳhvahishon ka aks paikar men raha
main sar-e-taq-e-sada jal-bujh gaya
tu vo sho.ala tha ki patthar men raha
paniyon men mish.alen bahti rahin
asman Thahra samundar men raha
a.ina-dar-a.ina sham.en bujhin
dekhna apne muqaddar men raha
Leave a Reply