sun fasl-e-gul khushi ho gulshan men aiyan hain
kya bulbulon ne dekho dhumen machaiyan hain
bimar ho zamin se uthte nahin asa bin
nargis ko tum ne shayad ankhen dikhaiyan hain
dekh us ko aaina bhi hairan ho gaya hai
chehre pe jaan tere aisi safaiyan hain
khurshid us ko kahiye to jaan hai vo piila
gar mah kahun tira munh to us pe jhaiyan hain
yuun garm yaar hona phir baat bhi na kahna
kya be-muravvati hai kya bevafaiyan hain
jhamki dikha jhijhak kar dil le ke bhaag jaana
kya achpalaiyan hain kya chanchalaiyan hain
qismat men kya hai dekhen jiite bachen ki mar jaaen
qatil se ab to ham ne ankhen ladaiyan hain
dil ashiqon ka le kar phir yaar nahin ye dilbar
in be-muravvaton ki kya ashnaiyan hain
phir mehrban hua hai ‘taban’ mira sitamgar
baten tiri kisi ne shayad sunaiyan hain
Leave a Reply