• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ghar Se Bahar Kabhi Nikla Kije

Ghar Se Bahar Kabhi Nikla Kije

ghar se bahar kabhi nikla kiije

‘hashami’ galiyon men Tahla kiije

husn baton men bhi paida kiije

samne aa.ina rakkha kiije

kyuun kisi aur ko rusva kiije

ab ke apna hi tamasha kiij

pahle ḳhud aap ko parkha kiije

aur phir shikva-e-duniya kiije

kahin suuli na samjhe le koi

apni banhon ko na khola kiije

sochiye phuul khila hai kya kya

surat-e-sang na dekha kiije

itni fursat bhi kise hai lekin

gahe-gahe hamen puchha kiije

har koi munh men zaban rakhta hai

rokta kaun hai bola kiije

ye bhi andaz hai ik chhupne ka

is qadar paas na aaya kiije

aane lagti hai shikaston ki sada

aise ḳhamosh na baiTha kiije

rabt bhi rakhta hai ma.ani apne

baat be-bat na Toka kiije

‘hashami’ gham ne phir angḌa.i li

‘hashami’ phir ghazal insha kiije

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

abdul-hamid-adam

Kaun Hai Jis Ne Mai Nahin Chakkhi

Kali Kali Ka Badan phoD Kar Jo Nikla Hai

Roz Ek shaKHs Chala Jata Hai KHwahish Karta

Tere Hisse Ka Bach Gaya Hai Kuchh

Mujhko to Mashq-E-Samaat Hai Chalo Tum Bolo

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet