dil apne ranj-o-gham se jam-e-jahan-numa tha
ab aap hi bata.en achchha tha ya bura tha
sahra tha ya chaman tha jaane vahi ki kya tha
is dil ki intiha hai jo muddaton jala tha
taḌpun tu raaz kholun sanblun to ishq na-ḳhush
jis haal ko main samjha achchha vahi bura tha
puchha na zindagi men yuun to kisi ne aa kar
marne ke ba.ad jo tha vo mujh ko puchhta tha
shab ko miri sada.en mujh tak palaT ke aa.iin
nalon ki kya ḳhata thi jab band rasta tha
manzil pe jab gira tha thak kar to main ne dekha
qissa mira zaban-e-alam pe chal raha tha
jan-e-hazin nikalti sham-e-firaq kyuun kar
vo raat thi andheri rasta na sujhta tha
meri taraf chale tum jab jankani men tha main
duniya hai ek aata tha ek ja raha tha
ik tarah ki musibat hoti to jhel lete
har shab na.i zamin thi har din falak naya tha
afsos hai ki umr-e-fani ne ḳhatm ho kar
mujh ko vahi bataya jis ko main janta tha
DhunDengi ba.ad mere mujh ko charagh le kar
vo mahfilen ki jin men ‘saqib’ ghazal-sara tha
Leave a Reply