• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Jis Tarah do-Jahan Mein Khuda Ka Nahin Sharik

Jis Tarah do-Jahan Mein Khuda Ka Nahin Sharik

poet

jis tarah do-jahan men khuda ka nahin sharik

tere jamal men nahin koi hasin sharik

main bhi tira fidai huun mujh pe bhi rahm kha

jab tak hai is guman men kuchh kuchh yaqin sharik

us ke sitam hi kam hain jo auron ka naam luun

hai asman sharik na is men zamin sharik

roz-e-jaza ummid hai sab ko saza mile

iqdam-e-qatl men hain mire sab hasin sharik

ai badr tera daava-e-yaktai sab ghalat

jumla sifat men hai tire vo jabin sharik

sach puchhiye to jan-e-jahan mere qatl men

tirchhi nazar ke saath hi chin-e-jabin sharik

vaaiz tu bagh-e-husn ki ik baar sair kar

mumkin hai dilkashi men ho khuld-e-barin sharik

kya vajh tere zulm-o-sitam men maza nahin

ai daur-e-charkh aaj vo shayad nahin sharik

bheja payam-e-jalsa to andaz se kaha

arsa hua ki ham nahin hote kahin sharik

‘parvin’ ghalat hai un ko samajhna juda juda

hain jism-o-jan ki tarah se duniya-o-din sharik

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Jati Nahin Hai Uski Mahak Tak Lihaf Se

Junun Ka Daur Hai Kis Kis Ko Jaen Samjhane

firaq-gorakhpuri

Samajhta Hun Ki Tu Mujhse Juda Hai

Dhimi Barish Ki Lai Mein Ahwal Sunate Rahna

Dubne Walo Hawaon Ka Hunar Kaisa Laga

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet